Monday 5 August 2013

kash.....

kash samandar kinara mitjati kadm bolpate
ki jindgi ki wazan kya hain
haton ki safar mein fati purane rupay ka note kehpate
ki jindgi kitni mali hain
shishon ki samandar jaise hamare ghar dikhapate
ki jindgi ke kitne rang hote hain
gudde mein tehra barish ka pani sunasakti
ki kitna kuch hum dekh nahi pate hain
signal ki bhujti jalti light yeh ginpati
ki jindgi ek hi jagah se kitni dishaun mein ghumti firti hain
ghadi ka suyain dohrasakti
ki ek hi chakkar kitne bar kitne teji se ghumna padta  hain
lipte hum jin chadadon mein wo jatsakti
rishton ki khamosiyan kya hoti hain
kash badal mujhe suna sakti
ki mujh jaise chehre aur kitne hain